Saturday 10 January 2015

Mai

mai dhup hu mai chhaaon bhi
mai hu tarang mai naav bhi
mai hu dhuaan mai aag bhi
mai hi to hu har saans me
mai kuch nahi mai sabkuch bhi
mujhko mera ehsaas hai
kan-kan ko meri pyaas hai
mai aaj hu mai kal bhi hu
mai pyar bhi vishwas bhi
mai raag hu vairaag hu
sab mere hi to roop hai
mera mujhme kuch nahi
bas pyas hai aur aag bhi
kuch kah bhi du ya na kahu
aur kah bhi du to kya kahu
kuch aur khud ko jan lu
is mai me sari duniya hai
kya kya kahu kya naam du
ye mai bada pechida hai
is mai ko ab viram du