Wednesday 26 November 2014

BAS EK SOCH..

sahil k pathro pe sir patakne se,pani ka to kuch nahi hota.
lekin ha lahre baar baar aake,pathar jarur gish deti hai.
ha bhale hi ye ek din ka kam nahi saalon ka hai.
ye waqt hi to hai,jo har marz ki dawa hai.
lekin patharo k ghishne k bad,
koi waqt unhe wapas pahale jaisa aakar nahi de sakta.
jindagi bhi un patharo ki tarah hi hai,
bhut sari lahare aati hai hume ghishte chali jaati hai.
roj naye aakar deti hai,lekin hum kabhi sare khadde,
sare daag,jo waqt ne hume diye hai,nahi mita sakate.
dil k kahi na kahi kisi chhote kone me,
buri yaadein dab jarur jaati hai.
lekin jitna waqt unhe dabane me lagta hai,
uske viprit unhe ujagar karne me jara sa bhi waqt nahi lagta.

















mujhe jindagi se kya chahiye ye mai nahi janti,
kya sahi hai kya galat ye bhi mai nahi janti,
mai bas itna janti hu ki ye jan na jaruri bhi nahi hai,
maine jo kar ke dukh paya wo mere liye galat aur,
jo karke khushi wo sahi,lekin galat sahi k mayne vayaktigat hai.
bas ek chiz saaf h ki galatiyaan sirf dukh hi nahi deti kuch sikh bhi deti hai.
agar mai kahu ki mujhe jindagi se kuch nahi chahiye,
to ye bhut galat hoga,qki agar aisa hota to mai kabhi dukhi nahi hoti.
mai udhedbun me hu ki kahi aisa to nahi ki mai bas harti chali jaungi..
ummid hai ki jit jaungi,kabhi na kabhi dil se muskuraungi,
uhi chalte chalte kuch gun-gunaungi.... :)

 







 

Tuesday 16 September 2014

Andhero Se Ujjalo Ki Talash Me Mai

kuch to hai...in andhere saayo me,jo mujhe raushni k laut aane ki umid deti hai..
mai nai janti ki wo kya hai,aur kab andhere se nikal k ujalo ko apanayega..
lekin uski aane ki umid hi h jo in andhere  ko kbhi udasi ka karan nai ban ne deti...
yun to mujhe chandani rat jayda pyari hai,lekin amavashya ki bhi khas baat hai..
jindagi sirf khushi de,ye to mumkin nai...
jaise neem kadwa hoke bhi bura nai hota insaan k liye..
waise hi sach bhi kadwa hoke,insaan ko jindagi k sahi mayne sikha jati hai..
jitni jaldi sabera ho jaye acha hai,qki nind to us jhuth ki tarah hai jise chhupane k liye,
insan lagatar jhuth bolta chala jata hai..
aisa nai hai ki mujhe suryoday ki jaldi hoti hai,ya sham hone ka intejaar..
kuch karne ki lalsa to mere andar bhi nai hai,mai to bas bewajah chale ja rahi hu..
shayad chalte chalte meri manjil mujhe mil jaye aur mai ruk jau..
kabhi kabhi lagta h insan ki manjil hoti hi nai hai,jab tak saanse chalti hai chalte rahna hi humara udeshya hai...
jindagi ek aisi rangmanch jaha parda sirf  ek hi bar girta hai...kabhi na uthne k liye..
jab mai chhoti thi mai bht sare sawal karti thi sabse,us waqt logo ne jabab to diye..
lekin un sawalo k jabab kisi k pas hote nai the,dhire dhire mai jan gayi ki har bat ke hone ki wajah nai hoti,tab gharwalo ko lagne laga ki mai samjhdar ho gayi...
aaj kal lagta h ki bewajah kuch nai hota,humare jindagi me har ek chhote bade chij k hone ki wajah hai..
jabab to aaj bhi nai mile ki q ,shayad kabhi na mile...
mai nasamjh hu parchhaion ko pakdna chahti hu,hawa ko muthi me band karti hu,
aag ko chhuna chahti bina khud jale....
in sabhi ikchhaoo ka koi ant nai hai,
ant to is jivan ka nischit hai...
aajtak yahi ek sach jan payi hu mai....                         

Wednesday 27 August 2014

life

someday, sometime we all are going to die...this is the bitter truth of our lives,and we cant do anything about it so just live to the fullest ... if not today there will be no tommorrow...perhaps :\
                 

Saturday 16 August 2014

mai muskuraungi..

KUCH BHI THIK NAI ZAMANE MEIN,
SAB HAI APNE AFSANE ME,

ZINDAGI DHUP KABHI CHHAO HAI,
HAR MOD PE EK NAYA GHAW HAI,

KOI TO AISA HATH HO JO MARHAM LAGANE KO UTHE,
APNE GHAR KO BACHANE K SIWA,
ZAMANE K DARD UTHANE KO UTHE,

MAI ROJ APNE CHAARO TARAF DEKHTI HU,
KHUSHI PANE K LIYE,
LEKIN YE ZINDAGI KABHI HASATI HAI KABHI RULATI HAI ,
ROJ NAYE NAYE TASVEER DIKHATI HAI,

KAHI PINE KI PANI TO KAHI BADH KI SAMASYA HAI,
HAR PAL KUCH NA KUCH HONE KI AASHANKA HAI,

PAHLE PURAB WALE HAR JAAN KI KIMAT JANTE THE,
AAJ HAR CHIJ KO KIMAT SE PAHCHANTE HAI,

AAJ NAI TO KAL SAHI JAGEGA YE JAMANA,
MUJHE AAJ SE EK AAGAJ HAI UTHANA......
BADLEGI TASVEER,BADLEGA JAMANA,

PHIR MAI APNE CHARO TARAF DEKHKAR SIRF KHUSHI HI PAUNGI,
MAI MUSKURAUNGI ...... :)

khamosiyan .. jo kuch kahati hai

kabhi kabhi mai apni khamoshi se baate karti hu,
puchhti hu khud se ki mai kaun hu,
mera astitav kya hai,
mai bhut kuch jan na chahti hu,
bhut kuch bolna chahti hu,
mai dusro k banaye rasto pe,
aankh mund kar chalna nai chahti,
mai apne raste khud banana chahti hu,
mai azad udna chahti hu,
lekin ye sari baatein bas khayalo mein hai,
kash ye khayal meri jindagi ka sach ban jaye,
mujhe mere sare sawalo k jabab mil jaye,
meri zindagi kuch kam aa jaye,
mai kuch aisa karu,
jis se mere sapne sakar ho jaye,
kabhi lagta hai ki sab kuch to thik hai,
lekin kabhi lagta hai ki ye mera waham hai,
kash meri khamoshiyan meri awaj ban jaye,
meri jindagi ek surili rag ban jaye,
jiske mithe dhuno ko mai gun gunau,
mai muskurau,aur apni aatmkatha sabko sunau,

kabhi kabhi mai apni khamoshi se baate karti hu....